Tuesday 1 April 2014

Reality of love.


kyo karte ho pyar, kya zindagi acchi nahi lagti,
kyo marte ho yar , kya zindagi acchi nahi lagti ,

Pyar Nahi koi maajak , ki kabhi kiya to kabhi nahi,
Per fir bhi jaane kyo tumahe baat sacchi nahi lagti,
kabhi saamjha hota pyar ko ,to jarur pata hota ,
Bas kisi ke kah dene se baat sacchi nahi lagti,

kyo karte ho pyar , kya zindgi acchi nahi lagti,
kyo marte ho yar , kya zindgi acchi nahi lagti ,

Kahne se agar pyar hota  ,to duniya he  kar leti,
Bina kahe pyar ho jaye , to Baat pakki nahi lagti,
Agar hoti zindagi aur baadi, To kitni baar karte Pyar,
Kyoki fir pyar ,fir pyar to tumhe ek kahani he lagti,

kyo karte ho pyar, kya zindagi acchi nahi lagti,
kyo marte ho yar , kya zindagi acchi nahi lagti,

Batao mujhe ki kon nahi karta pyar is duniya me,
kyoki Bina pyar ke, ye duniya Deewani nahi lagti,
Galat kahte hey Jo pyar ko , vo khud se puche,
kya unahe pyar ke bin ye duniya begaani nahi lagti,

kyo karte ho pyar, kya zindagi acchi nahi lagti,
kyo marte ho yar , kya zindagi acchi nahi lagti,

Kyo phsate ho pyar ko shabdo ke jaal me,
Is pyar ki koi sacchi nishani nahi lagti,
Is liye mere dosto, Ho jaye agar pyar to kah dena,
kyoki is ki koi kurbani nahi lagti,

kyo karte ho pyar, kya zindagi acchi nahi lagti,
kyo marte ho yar , kya zindagi acchi nahi lagti.....


No comments:

Post a Comment